donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shagufta Basit
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kisi Ki khatir ganwa k khud ko, kisi ko kutch bhi mila nahi hay *
Kisi Ki khatir ganwa k khud ko, kisi ko kutch bhi mila nahi hay
chahatoo.n main jala lo khud ko, magar kutch iska sila nahi hay

Wo tu Khuda hay jis ko chahey jaha.n ki naimatoo.n sey wo nawazey
merey hissey main jo tergii hay mujhe kutch uss ka gilaa nahi hay

Jo merey khayyaloo.n main, baatoo.n, nigahoo.n, panahoo.n main tha
Sar-e raah mujhe ko mila hay aise, k jaise pehley mila nahi hay

Jo mujh ko kahta hay be-aqal ho k tum tu sach much ki nasamajh ho
main janti hon, mujhe khaber hay, k dill ka wo bhi bura nahi hay

khizaa.n k dil-geer mousamoo.n main hoon aas niraas k darmiyaa.n main
mehka sake jo dill ki duniya wo phool abb tak khila nahi hay

hain jis sey wabasta meri yaadain, tammam baatain ye saari ghazlain
ye baat bhi hay baja Shagufta wo shakhs abb tak mila nahi hay
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348