|
* Tumhain mujh sey mohabbat hay, kaho ik baar tum phir sey *
Tumhain mujh sey mohabbat hay, kaho ik baar tum phir sey
Tumhain meri zarorat hay, Kaho ik baar tum phir sey
Tumhain pehley bhi chaha tha, tumhain ab bhi main chahta hon
yehi meri iibadat hay, kaho ik baar tum phir sey
zara si baat pe main nay tumhain yoon hi jhirak dala
mujhe be-hud nidamat hay, kaho ik baar tum phir sey
tumhara naam jab jab loon, mujhe kutch chain milta hay
yehi meri tilaawat hay, kaho ik baar tum phir sey
teri baatoo.n main shokhi hay, halawat hay mohabbat ki
tera lehjaa shararat hay, kaho ik baar tum phir sey
jo jana chahti ho tum, Shagufta shouq sey jaao
tumhian is ki ijazat hay, kaho ik baar tum phir sey
****** |
|