|
* Wo khwaab nagar ka shehzada, main apne mun ki raani hon *
Wo khwaab nagar ka shehzada, main apne mun ki raani hon
main kaise kahoo.n wo yakta hay!, main hi tu uska saani hon
us main mujh main kaise nibhey gi, pehro.n beth k sochti hon
wo ik jalti aag ki man'nid, aur main dhandha paani hon
teri ik ik baat ko main nay dill sey hay tasleem kya
phir bhi kehtey ho main khud-sar, baat kisi ki maani hon!!
uska mera jo hay rishta lafzoo.n ka mohtaaj nahi
wo hay harf-e ghaib ki man'nid, main hi uska maani hon
******* |
|