ashiq bipat ke maare rote hue jidhar jaa.n
paani sii.n us taraf kī rahen tamam bhar jaa.n
mar kar tire labai kī surkhi ke tayii.n na pahunche
har chand sa.i kar kar yaqoot-o-laal-o-marja.n
jangal ke biich vahshat ghar mei.n jafa o kulfat
ai dil bata ki tere maare ham ab kidhar jaai
ik arz sab sii.n chhup kar karni hai ham kyu.n tum sii.n
raazi ho gar kaho to khalvat mei.n aa ke kar jaari
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸