chanchalahaT me.n too mamola hai
jhiljhilahaT me.n dar amola hai
dekh tujh mukh kuu.n yuu.n chhupe yusuf
juu.n kabutar kue.n me.n kola hai
sair karta huu.n baiTh kar us biich
dil hamara urhan-khatola hai
sarv sii.n qad hai yaar ka mauzu.n
mai.n ne mizaan lii.n ke tola hai
sard-mehri sii.n be-vafa ka haal
hai khunuk is qadar ki ola hai
jaan kar ke ajaan hota hai
tum na jaano ki jaan bhola hai
ham suu.n sab mil kaho mubarakbad
ki Tuk ik hans ke aa ke bola hai
'abroo' haae kyuu.n gale na laga
mere dil mei.n yahii malola hai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸