nāznīñ jab ḳhirām karte haiñ
tab qayāmat kā kaam karte haiñ
gul pe juuñ os yuuñ tire mukh par
TuuT dil azhdahām karte haiñ
tum nazar kyuuñ churā.e jaate ho
jab tumheñ ham salām karte haiñ
kyā tamāshā hai jab ki do ma.ashūq
mil ke bāham kalām karte haiñ
mominoñ ke diloñ ko ye bad-kesh
kāfirī kar ke raam karte haiñ
ishq kī saf manīñ namāzī sab
'ābrū' ko imaam karte haiñ
888888888888