|
* Rozan khula jo raat ke kale makan ka *
Rozan khula jo raat ke kale makan ka
Manzar tamam jaag utha aasman ka
Mehmaa'n sara me'n raat ke soyee rahi thakan
Urhta raha parinda sahar ki azaan ka
Suraj, sitare, chand ke asrar khul gaye
Lekin khula na bhed dile be zabaan ka
Pat jharh ki pattiyo'n pe hai tahrir waqt ki
Likkha huaa hai haal gul-o-gulsitaa'n ka
Hijrat ki kashtiyo'n pe mai'n ek umr se sawaar
Ehsa'n kabhi uthaya nahi'n baadbaan ka
Muddat se kheema zan hai deyare hayaat mei'n
"Shahee'n" azabe mausame na mehraba'n ka
A-259, Shahdman Towm, Sector-14/B,
North Karachi-75680
|
|