|
* rozan khula jo raat ke kaale makan ka *
Shahin Badar
A-259, shamdman Town ,
Sector-14/B, North karachi-75850
(Pakistan)
rozan khula jo raat ke kaale makan ka
manzar tamam jag uttha aasman ka
mehman sarai mei'n rat ke soee rahi thakan
urhta raha parinda sehar ke azan ka
suraj , sitare , chand ke asrar khul gaee
lekin khula na bhed dil be zuban ka
pat jhar ki pattiyon pe tahrir waqt ki
likha huaa hai hal gul wa gulsitan ka
hijrat ki kashtiyo'n pe main ek umar se sawar
ehsas kabhi uthaya nahi badban ka
muddaat se khema zan hai diyare hayat me
shahin ! azab moosam nameharban ka
|
|