|
* Udti chidiya se pyaar karna tha *
Udti chidiya se pyaar karna tha,
Waqt ka aitbaar karna tha.
Ghum samundar tha aik lamhe ka,
Kayee sadiyo'n mei'n paar karna tha.
Mukhlisi yu'n bahut zaroori thi,
Khud ko kuchh hoshyaar karna tha.
Phool maghroor ho gaye aakhir,
Baagh ko be-bahaar karna tha.
Haadse yu'n na muttahid hote !
Ye safar qistwaar karna tha.
|
|