donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Barsaat Ki Ek Raat *

Barsaat Ki Ek Raat
*****
Shahid Jameel

Raat kya hai, ke iske hisse mein ,
Aasmaano’ ke jitne qisse hain,
Unki taareekiya’n niraali hain,
Aaftaabo’n ka dyaan kar-kar ke,
Jo kabhi dhund se ulajhti hain
Ya sitaaro’n mein jhilmilaati hain,
Barq se baatcheet karti hain,
Ya hawaao’n mein sansanati hain,
Ya thapedo’n mein raqs karti hain,
Aur toofa’n mein khilkhilati hain.

Raat ki aik aik taareeki,
Saikdo’n daastaan rakhti hai,
Laakh baadal garajte jaatay hain,
Zor-e-baarish, ke kamm nahin hota,
Raat ne baal-o-per bhigoye aur,
Aur parwaaz badh gayee uski,
Aur gahre huye hain andhiyare,
Iss-qadar bheege,bujh gaye taare,

Raat ye hai, ke iske hisse mein,
Aik barsaat iss-qadar gehri,
Aik sannata itna shor bhara,
Aik aawaz itni chup-chup si,
Abr ne khul ke ehtejaaj kiya,
Ghann-garaj hai,kahin dhamaake hain,
Aur udhar aasmaano’ ke uss-paar,
Noor ke saikdo’n jhamaake hain,
Raat hoti nahin magar raushan,
Kahin bijli ka buss nahin chalta,
Koshishe’n laakh karti jaati hai,
Aur TUBE aik bhi nahin jalta,
Raigaani ki rutt salaamat hai,
Wo salaamat hai jo nahin jaata,
Raat ye kisko yaad karti hai??
Theek-se yaad jo nahin aata!!!


******

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 394