donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Raag Aur Rog *

Raag Aur Rog
*****
Shahid Jameel
*****

Tu mera raag hai,
Main tera rog hoon,
Raag se rog tak,
Az-zamee’-taa-falak,
Fasle faasle,
Jaanta hoon ,magar ,
Chaahta hoon yehi,
Raag aur rog mein ,
Jaan-pehchaan ho,
Ahd-o-paimaan ho,
Raag jaadoo kare,
Rog mein sur bhare,
Sur tamasha karen,
Rog achchha karen,
Raag mash’hoor ho,
Rog yu’n dooor ho,
Koi mausam rahe ,
Phir na koi kahe,
Main tera rog hoon ,
Sar-ba-sar sog hoon,
Raag ka rog se,
Rog ka sog se,
Silsila khatm ho,
Faasla khatm ho,
Aik aawaz ho,
Soz ho,saaz ho,
Saaz ho koi bhi,
Geet ho buss yehi,
Main bhi ek raag hoon,
Tu bhi ek raag hai,
Az-zamee’-ta-falak,
Aik-si hai jhalak,
Aik-sa noor hai,
Aik-si aag hai,
Aag-hi-aag hai,
Raag-hi-raag hai.

*****
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 391