donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wo din ko eyaa'n hoga, magar raat rahegi *
Wo din ko eyaa'n hoga, magar raat rahegi,
Uss shakhs se phir khul-ke mulaaqat rahegi.

Iss-baar koee shah'r mei'n chhappar nahii'n apna,
Iss-baar bade zor ki barsaat rahegi.

Guzraa hoo'n  ghanee shaakho'n se iss sare safar mei'n,
Be-barg darakhto'n mei'n meri baat rahegi.

Yakkh-basta nazar aayega wo lautne-waala,
Seene mei'n magar garmi-e-jazbaat rahegi.

Bhatkaa hoo'n bahut pyaas ke sahrao'n mei'n "Shahid",
Ab baarisho'n ki zadd pe meri zaat rahegi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361