GEET : GULDAAN KI MITTI HANSTI HAI
*******
Shahid Jameel
****
Guldaan ki mitti hansti hai,
Baarood ! tera kya kaam yaha’n?
Ye khaab-garo’n ki basti hai.
Rango’n ne laher banaayi hai, armaan ke gehre saagar mein,
Kuch pankh lage hain kashti mein, kuchh panchhi bass-gaye manzer mein,
Sunte hain, niraasha ghar-ghar mein, jaa-kar aawaaze kasti hai,
Guldaan ki mitti hansti hai.
Dharti per maana, door-talak, kuchh log tere deewaane hain,
Aakash ke panno’ per tere, missile ke afsaane hain,
Lekin jo tere mastaane hain, kya unn-me hum-si masti hai?
Guldaan ki mitti hansti hai.
Ai chingari ki raahguzar ! jaa, ab hai chaand utarne ko,
Ek kalee mein chaandi pighlegi, ek gul mein hai sona bharne ko,
Aur iski tamanna karne ko, sautan bekaar tarasti hai,
Guldaan ki mitti hansti hai.
Baarood ! tera kya kaam yaha’n ,
Ye khaab-garo’n ki basti hai.
##########