donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhi na khul-ke milay uss-se, aisi baat na thi *
Kabhi na khul-ke milay uss-se, aisi baat na thi,
Magar ab itni bhi  aasaan shar'h-e-zaat na thi.

Gilay jo haat pakadte, toh hum-ko ghum kya tha ?
Hamaare paao'n mei'n zanjeer-e-iltefaat na thi.

Bichharhte dasht ki mitti thi,paao'n kasti thi,
Ukharhte khemo'n ki bunyaad be-hayaat na thi.

Thi kaaenaat samundar toh apni zaat habaab,
Per, apni zaat mei'n doobe, toh kaaenaat na thi.

Wo khaab aur-hi thay, phool ban-ke jo mahke,
Hamaari aankho'n mei'n khushboo-si koi baat na thi.

Fanaa ke baad hame milne aayee thi "Shahid",
Wo aik narm lataafat  jo be-sabaat na thi.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378