donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hijr ki aankho'n ke sab manzar December *
Hijr ki aankho'n ke sab manzar December,
Iss calendar mei'n hai saalo'n-bhar December.

Dhoop ki titlee ke peechhe daurhta hai,
Chhote bachcho'n ki tarah chhat per December.

Barf-baari hai toh kya ,? mahfooz hai dil,
Uss-ki khamoshi se hai behtar December.

In nazaaro'n mei'n chhupa hoo'n,mujh-ko dhoondo!
Barf, khaab, aawaz, aansoo, darr, December.

Shaam naaranji dukho'n ki phir kha’di hai,
Har naye ghum ka puraana ghar December.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 408