donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kin parindo'n ka bayaa'n April hai *
Kin parindo'n ka bayaa'n April hai ?
Har shajar per mezbaa'n April hai.

Baarisho'n ko titliyo'n kaa intezaar, 
Titliyo'n ke darmiyaa'n April hai.

Shaam ko chhatt per chahaktaa hai bahut,
Dopahar mei'n raaegaa'n April hai.

Loo:samundar, habbs kashti ki tarah,
Aur iss-ka baadbaa'n April hai.

Phir hawaa uss chhatt ki jaanib murh gayee,
Phir kisi-per mehrabaa'n April hai.
                      
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 379