donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh kaisa rishta charagho’n ka teergi se tha, *
Yeh kaisa rishta  charagho’n ka teergi se tha,
Ke har suraagh tera meri gumrahi se tha,
Yeh saare shahar mei’n kaisa ghubaar phaila hai,
Mai’n TooT TooT ke bikhra to khamashi se tha,
Woh aik lamha jo tohfe mei’n laaye they kal log,
Woh aik lamha bhi meri zindagi se tha,
Woh khushnaseeb they,ik doosre ke dushman they,
Mera muqaabla har morh par mujhi se tha,
Tumhari di hui ukta hato’n ka kya kahna,
Mai’n raat khul ke baghal geer zindagi se tha,
Meri ana se jo “Shahid” ubharne waala tha,
Dara dara mai’n kitna us aadmi se tha.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 385