donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Haa’n kahani ko haqiqat kee tarh gardanta hu’n *

Ghazal Numa

Haa’n kahani ko haqiqat kee tarh gardanta hu’n
Aap ko pahchantaa hu’n
Ishq ne aawaargi se rishte dari torh di hai
Dil ki haalat janta hu’n!
Us ki galya’n sone chandi se bani hai’n haan magar mai’n
Khak see kuchh chanta hu’n
Aayeene aur aks ke jhagrhe ke piichhe jo koyee hai
Mai’n use pahchanta hu’n
Lafz lekin kaun sa us ke saraapaa kee tarah hai
Sau zabaane’n jaanta hu’n
Us kee yade’n ,us kee bate’n ,us ke mausam us ke album
Dard ko grdanta hu’n
Ishq mie’n shahid nikammo’n ko barhi shuhrat milee hai
Ahde nau ko manta hu’n !

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 375