Ghazal Numa
Raqeebo’n ko azbar raha hu’n ,nah khud ko mayssar raha hu’n
Khuda jane kya kar raha hu’n
Zamana us kee tarah hai ,jo bilkul mere hee tarah hai
Zamane se kyo’n dar raha hu’n ?
Tera mujh me’n asrar kya tha?tujhe khwab me’n dekhta tha
Tera saamna kar raha hu’n !
Mere naam seepi na gauhar , aye mere dukho’n ke samundar
Mai’n tera shanawir raha hu’n
Use ab meree kya parhee hai ,ke woh aur kee january hai
Mai’n jis ka December raha hun
Barhee shuhrto’n me’n ghire hai’n ,sikander bane phir rahe hai’n
Mai’n jin ka moqaddar raha hu’n
Ghazal meree waisee nahi’n hai ,magar mujh ko shahid yaqee’n hai
Mai’n bahto’n se behtar raha hu’n