|
* Sonchta hoo’n ke use kaun sa manzar kahta, *
Sonchta hoo’n ke use kaun sa manzar kahta,
Ret ka jism tha, kya haath laga kar kahta,
Yo’n to qatra hi samajhta raha Ta umr magar,
Jaan leta to bahar haal samunder kahta,
Yeh to achha hi hua,mut-thi khuli hai meri,
Warna har shakhs mujhe apna muqaddar kahta,
Waise to dono uktaaye hue they lekin,
Woh rawadar na tha,mai’n use kiyo’n kar kahta,
Qurb ki dhoop se be zaar sabhi they “Shahid”,
Kaun kis shakhs ko nazdeek bula kar kahta.
|
|