donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Digital Ghazal *
           Digital Ghazal
         ------------------------

Kahi'n le-jaao ye orhna-bichhona,
Mobile  sar ke neeche rakh ke sona.

Meri aawaz hi pehchaan hogi*,
Mia'n, MP3 hargiz na khona !

Mobile aur ki mutthi mei'n pahuncha,
Cinema-Hall mei'n kahe-ko sona?

Salaamat, yaar ! MP4 mera,
Aji kya keejye sapna-salona?

Kitaabe'n online ho chuki hai'n,
Bajaa hai deemako'n mei'n jashn hona.

Mia'n-Biwi mei'n kaahe-ka tanaao?
Badal-kar naam ab chatting karo-na  !

Calendar ki jagah chipka hai tv,
Khusha ! deewaar ka gulzaar hona ! 

Galee ke aashiqo'n mei'n thann gayee hai,
Mubaarak, aapka Google pe hona !

Adoo Famous Blogger ban-ckuka hai,
Toh ban-kar virus hamla karo -na  !

Udher chhappar se choohe jhaankte hai'n,
Alag key-board se mouse rakho-na  !

Khabar ko Net par parh hi liya hai,
Toh ab akhbaar se pankha jhalo-na  ! 

Hazaaro'n  rang ki holi hai Google,
Abas tanhaai mei'n aankhe'n bhigona.

Balaa-se dooor hai wo maah-paara,
3G per kaleja khush karo-na !

"Lifafa daak-ghar mei'n aunghta hai,"
Yehi  e-mail usko bhej do na !

Usi ne aaj phir miscall bheji,
Ajab 'mister' ho ,kuchh himmat karo na  !

Ghazal ka wallpaper change kar do !
Nikaltaa hai isi mitti se sona.
-------------------------------------------------------------------------
*Baquaul Gulzaar
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 411