donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Jameel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Internet Ghazal *
                      Internet Ghazal
                         
                      (Nazr-e-Ghalib)

Hazaaro'n "saaite'n"* aisi, ke har "saait" pe dum nikle,
Na poochho , kis-tarah phir Cyber-Cafe se hum nikle !

Sab aashiq thakk gaye  upload kar-ke apni "saait" per,
Visaal-e-yaar ki CD mei'n sau-sau pech-o-khum nikle !!

Wahaa'n ab har taraf "kamputaro'n"** ke choohe phirte hai'n,
Mere likhne ke kamre se, sabhi kaaghaz-qalam nikle.

Adoo ka password  uff, kis balaa-ka pairhan nikla !
Ghazab ki jalwa-aaraaee mei'n sheeshe ke sanam nikle !!

Hame "saait"-nawardi ko  toh Google  jaam-e-jam thahra,
Jahaa'n-bini ko ab kyu'n-kar ye kamre se qadam nikle?

Qayaamat-khez chatting mei'n Halaakat-khez  Hacking thi !
Soh, apni passbook mei'n dher-se aadaad kum nikle !!

Blogging ki qasam badqismati kyaa  virus nikli !
Khushi ki downloading ki ,a'lam ke  zer-o-bum nikle !!

Raqeeb-o-yaar ki tunning kahaa'n chal-kar kahaa'n pahunchi !?
Baraamad "junk-mailo'n"*** mei'n murakkab pech-o-khum nikle !!

Khusha ! ai vaadi-e-surfing, ba-chashm-e-Shahid-e-hairaa'n !!
Hamaare Bi-focal mei'n , ghazab ke zer-o-bum nikle !!!
____________________________________________________________
* Websites,   ** Computers,  *** Junk mails
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 424