|
* Zamii.n pe chal na sakaa aasmaan se bhii gayaa *
Zamii.n pe chal na sakaa aasmaan se bhii gayaa,
kaTaa ke par ko parindaa uDaan se bhii gayaa,
tabaah kar ga_ii pakke makaan kii Khvaahish,
mai.n apane gaao.N ke kachche makaan se bhii gayaa,
paraa_ii aag me.n Khud kyaa milaa tujh ko,
use bachaa na sakaa apanii jaan se bhii gayaa,
bhulaanaa chaah to bhulaane kii intehaa kar dii,
vo shaKhs ab mere vahm-o-gumaan se bhii gayaa,
kisii ke haath kaa nikalaa huaa vo tiir huu.N mai.n,
hadaf ko chhuu a sakaa aur kamaan se bhii gayaa.
|
|