donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Kabir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Besabab baat ba.Dhaane kii zaruurat kyaa hai *
Besabab baat ba.Dhaane kii zaruurat kyaa hai, 
ham Khafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai, 

aap ke dam se to duniyaa kaa bharam hai qaayam, 
aap jab hai.n to Thikaane kii zaruurat kyaa hai, 

teraa kuuchaa, teraa dar, terii galii kaafii hai, 
beThikaano ko Thikaane kii zaruurat kyaa hai, 

dil se milane kii tamannaa hii nahii.n jab dil me.n, 
haath se haath milaane kii zaruurat kyaa hai, 

rang aa.Nkho.n ke liye buu hai damaaGho.n ke liye, 
phuul ko haath lagaane kii zaruurat kyaa hai. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355