donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahid Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ae kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai *
Ae kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai,
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai,

ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN,
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagii kam hai,
( tishnagii : thirst)
qariib-o-duur se aatii hai aap kii aavaaz,
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai,
( justujuu : effort)
shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par,
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudii kam hai,
(shauur : etiquette; huzuun-e-husn : in presence of beauty; beKhudii : unconsciousness)
tamaam umr teraa intizaar kar leNge,
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai,
uruuj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin,
hunuuz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai,
(uruuj : apex; maah : moon; hunuuz : yet; azmat : magnificence; aagahii : cognizance)
na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN,
hamaare baad guloN meN shaguftagii kam hai,
( shaguftagii : blooming)
na saath deNgii ye dam toRtii hu’ii sham’meN,
naye chiraaGh jalaao ke roshnii kam hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 344