donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shahzad Nayyar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hazaar baar dubaanay ko sheher yaar utha.... *
hazaar baar dubaanay ko sheher yaar utha....
magar ye shor e gharibaan ke baar baar uthha...
ye bazm e khaak nashena'n hay, soch kar betho...
yaha'n say koi utha to baraaye daar utha....
adoo say agli larai ka din to tay kar lain...
chalay bhi jaai'n gay shaano'n pay apni haar utha...
zameen e husn bhi shaq thi,sapehr e ishq bhi shaq...
yahan kisi say na meri nazar ka baar utha..
bhrosa kar hi liya hay jo dilkay aalam par...
to phir alaaiq e dunya se aitabaar utha...
ye toot kar to ziyada wabaal e dosh hui..
main uth paRra to na mujh say anaa ka baar utha..
zame'n sahaar na paayi meri shikast ka bojh...
ke jitni baar gira hu'n main utni baar utha...
main hukm e zabt ko nafiz na kar saka dil par...
jaha'n bhi zulm ko dekha, wahi'n pukaar utha...
gira ke khaak pe mujh ko wo jub chala NAYYAR
to us kay paao'n pukarnay mera ghubaar utha..
 
(shahzad nayyar)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 449