donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shaista Mufti Farrukh
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek deewar jo hail hay meri sochon main *
"DEEWAR E GIRYA"



Ek deewar jo hail hay meri sochon main

Kitny paicheeda sawalon se mujhy rokti hay 

Jab bhi main rkhat e safer bandhti hon shaany per 
Apni jadou bhri hasti se mujhy tokti hay 
 

Ye jo deewar k rehti hai siyah khanon main
 Din dhaly apny tilsmaat ko dikhlati hay
 Mujh ko mehsoor kiye rakhti hay angaroon main
 Chaar janib rukh e anwaar se behlati hay
 Esa lagta hay k taaron se damakti hui raat
 Ek zara jumbish e mizgaa'n se bhi  bujh jaye gi 
Meri sochon k tasalsul ko ye baphri naagan
 Ek hi aan main afsoos nigal jaye gi 
 

Subh hoty hi ye dewar siyah khano'n main
 Rait k dhair ki manind uter jaye gi
 Raat ki jadou garri khwab si ban jaye gi
 Shamma daano'n main faqt rakh hi reh jaye gi 
 

Ik naya din meri weeran guzargaho'n per
 Lay k kashkool meray sath uter aye ga
 Mery daman se lipat ker ye samay ka raila
 Mujh ko mujh se hi juda kerny pe uksaye ga 
 

Ek deewar jo hayile hay meri sochon main ....
 

Shaista Mufti
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372