donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeb Jalali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Vahii jhukii hu_ii bele.n vahii dariichaa thaa *
Vahii jhukii hu_ii bele.n vahii dariichaa thaa,
magar vo phuul-saa cheharaa nazar na aataa thaa,

mai.n lauT aayaa huu.N Khaamoshiyo.n ke saharaa se,
vahaa.N bhii terii sadaa kaa Ghubaar phailaa thaa,

qariib tair rahaa thaa bato.n kaa ek jo.Daa,
mai.n aab_juu ke kinaare udaas baiThaa thaa,

[bat (batak) = swan]

banii nahii.n jo kahii.n par kalii kii turbat thii,
sunaa nahii.n jo kisii ne havaa kaa nauhaa thaa,

[turbat = grave; nauha = sad song]

ye aa.Dii-tirchhii lakiire.n banaa gayaa hai kaun,
mai.n kyaa kahuu.N ki mere dil kaa varaq to saadaa thaa,

[aa.Dii-tirchhii = crooked]

udhar se baarahaa guzaraa magar Khabar na hu_ii,
ki zer-e-sang Khunuk paaniyo.n kaa chashmaa thaa

[baarahaa = time and again; zer-e-sang = beneath the stone]
[Khunuk = cold; chashmaa = spring of water]

vo us kaa aks-e-badan thaa ki chaa.ndanii kaa ka.Nval,
vi niilii jhiil thii yaa aasamaa.N kaa Tuka.Daa thaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 314