donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeb Jalali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kinaar e Aab khara khud sey keh raha hay koi *
Kinaar e Aab khara khud sey keh raha hay koi,
gumaan guzarta hai, ye shakhs dosra hay koi,

hawa nay tor k patta zameen per phainka hay,
ke shab ki jheel main pather gira diya koi,

bata sakain hain parosi kisi ka dard kabhi,
yehi bohat hai k chehrey sey aashna hai koi,

darakht raah batain hila hila kar haath,
ke qafiley sey musafir bichar gaya hai koi,

chura ke haath bohat door beh gaya hai chand,
kisi ke saath samander main dobta hai koi,

ye aasmaan sey toota howa sitara hai,
ke dasht e shab main bhatakti koi sada koi,

makaan aur nahi hai badal gaya hai makeen,
ufaq wohi hai magar chaand dosra hay koi,

faseel e jism per taza lahu ke cheentey hain,
hudood e waqt sey aagey nikal gaya hai koi,

Shakeb deep sey lehra rahey hain palkon per,
diyaar e chashm mein kya aaj ratjaga hai koi .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361