donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeb Jalali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aah ke darmiyaan sey nikla *
Aah ke darmiyaan sey nikla,
main bhi kis imtahaan sey nikla,

phir hawa sey sulag uthey pattey,
phir dhuwaan gulsitaan sey nikla,

jab bhi nikla sitara e ummeed,
kuh'r ke darmiyaan sey nikla,

chandni jhankti hai galiyon mein,
koi saya makaan sey nikla,

aik shola, phir ik dhuwain ki lakeer,
aur kya khaak-daan sey nikla,

chand jis aasman main doba,
kab usi aasman sey nikla,

ye guhar jis ko aaftab kahain,
kahin andherey ki kaan sey nikla,

shukr hai us nay be-wafaai ki,
main karey imtahaan sey nikla,

log dushman hoye usi ke Shakeb,
kaam jis meherbaan sey nikla .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353