donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeb Jalali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khamoshi bol uThe, har nazar paiGhaam ho jaaye *
Khamoshi bol uThe, har nazar paiGhaam ho jaaye
ye sannaaTaa agar had se baDhe, kohraam ho jaaye

sitaare mashaaleN le kar mujhe bhii DhuunDne nikleN
main rastaa bhuul jaauuN, jangaloN meN shaam ho jaaye

maiN vo aadam-gaziidaa huuN jo tanhaii ke sehraa meN
khud apnii chaap sun kar larza-ba-andaam ho jaaye

misaal aisii hai is daur-e-Khirad ke hoshmandoN kii
na ho daaman meN zarra aur sahraa naam ho jaaye

Shakeb apne taarruf ke liye ye baat kaafi hai
ham us se bach ke chalte haiN jo rastaa aam ho jaaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361