donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeb Jalali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aa ke patthar to mere sahan may do char gire *
Aa ke patthar to mere sahan may do char gire,
Jitne us per ke phal the pas e diwar gire,
Aisi dahashat thi fazao'n may khule pani ki,
Ankh jhapaki bhi nahi hath se patawar gire,
Mujhe girana hai to main apane hi qadamon may girun,
Jis tarah saya e diwar pe diwar gire,
Tiragi chor gaye din may ujale ke khutut,
Ye sitare mere ghar tut ke bekar gire,
Dekh kar apane dar o bam laraz uthata hun,
Mere hamsaye may jab bhi koi diwar gire,
Waqt ki dor khuda jane kahan se tute,
Kis ghari sar pe ye lataki hui talwar gire.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 511