donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeel Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye barhamii ki naaz-e-iltifaat ke baad, *
Ye barhamii ki naaz-e-iltifaat ke baad,
ham ko maut kaa paiGaam hai hayaat ke baad,

ye kufr-o-dii.n kaa fasaanaa ye zikr-e-dair-o-haram,
aziiz hai magar un kii tuvajjihaat ke baad,

pe ashk-e-alam dil me.n paas-e-zabt-e-fuGhaa.N,
jo ham ha.Nse to bhii kitane takallufaat ke baad

ab aur haadase kyaa pesh aayenge ai dil,
hamaarii un kii muhabbat ke haadasaat ke baad,

ham ahal-e-hijr ko lutf-e-sahar nasiib kahaa.N,
yahaa.N to raat hii aa_ii hameshaa raat ke baad,

kabhii karam hii karam thaa aur ab sitam bhii nahii.n,
taGaaful aur phir itanii tavajjuhaat ke baad,

bajuz tere ko_ii mauzuu-e-zindagii hii nahii.n,
ajiib haal hai tark-e-ta’alluqaat ke baad,

agar ho sidq to aasaaniyaa.N bhii hotii hai.n,
’Shamim’ raah-e-muhabbat kii mushkilaat ke baad.


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353