donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeel Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tark-e-muhabbat par bhii hogii un ko nidaamat ham se ziyaadaa, *
Tark-e-muhabbat par bhii hogii un ko nidaamat ham se ziyaadaa,
kis ne kii hai kaun karegaa un se muhabbat ham se ziyaadaa, 

hamane maanaa aap me.n hogii sabr kii taaqat ham se ziyaadaa,
dekhiye lekin utarii hu_ii hai aap kii suurat ham se ziyaadaa, 

uff vo tabassum halkaa halkaa haaye vo bhiigii bhiigii palake.n,
vaqt-e-ruKhsat un pe giraa.N thaa lamahaa-e-ruKhsat ham se ziyaadaa, 

ko_ii tamannaa ko_ii masarrat dil ke qariib aane hii na dii,
kisane kii hai ishq me.n yaaro.n Gham se muhabbat ham se ziyaadaa. 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 338