donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeel Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* tamhiid-e-sitam aur hai takamiil-e-jafaa aur *
tamhiid-e-sitam aur hai takamiil-e-jafaa aur
chakhane kaa mazaa aur hai piine kaa mazaa aur

[tamhiid = beginning; takamiil = completion/fulfilment]

taasiir to taasiir tasavvur hai gurezaa.N
raato.n ko zaraa maa.Ngiye uTh uTh ke duaa aur

[taasiir =effect; tasavvur = imagination]
[gurezaa.N = fleeing]

dono.n hii binaa-e-kashish-o-jazb hai.n lekin
naGmo.n kii sadaa aur hai naalo.n kii sadaa aur

[binaa-e-kashish-o-jazb =basis for attraction]
[naalaa =loud cry]

Takaraa ke vahii.n TuuT gaye shiishaa-o-saaGhar,
maiKhvaaro.n ke jhurmuT me.n jo saaqii ne kahaa aur,

[jhurmuT = crowd]

vo Khud nazar aate hai.n jafaao.n pe pashemaa.N,
kyaa chaahiye aur tum ko "Shakeel" is ke sivaa aur.

[jafaa = oppression; pashemaa.N = ashamed]
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 345