donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeel Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gham-e-aashiqii se kah do raah-e-aam tak na pahu.Nche, *
Gham-e-aashiqii se kah do raah-e-aam tak na pahu.Nche, 
mujhe Khauf hai ye tohamat mere naam tak na pahu.Nche,
mai.n nazar se pee rahaa thaa to ye dil ne bad-duaa dii, 
teraa haath zindagii bhar kabhii jaam tak na pahu.Nche,
naii subah par nazar hai magar aah ye bhii Dar hai ,
ye sahar bhii raftaa raftaa kahii.n shaam tak na pahu.Nche,
vo navaa-e-muzamahil kyaa na ho jis me.n dil kii dha.Dakan, 
vo sadaa-e-ahale-dil kyaa jo avaam tak na pahu.Nche,
u.nhe.n apane dil kii Khabare.n mere dil se mil rahii hai.n ,
mai.n jo unase ruuTh jaauu.N to payaam tak na pahu.Nche,
ye adaa-e-beniaazii tujhe bevafaa mubaarak, 
magar aisii beruKhii kyaa ke salaam tak na pahu.Nche,
jo naqaab-e-ruKh uThaa dii to ye qaid bhii lagaa dii, 
uThe har nigaah lekin koii baam tak na pahu.Nche,
vahii ik Khamosh naGhmaa hai "Shakeel" jaan-e-hastii, 
jo zubaa.N tak na aaye jo qalaam tak na pahu.Nche.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 350