|
* Banaa banaa ke tamannaa miTaa_ii jaatii hai, *
Banaa banaa ke tamannaa miTaa_ii jaatii hai,
tarah tarah se vafaa aazamaa_ii jaatii hai,
jab un ko merii muhabbat kaa aitabaar nahii.n,
to jhukaa jhukaa ke nazar kyo.n milaa_ii jaatii hai,
hamaare dil kaa pataa vo hame.n nahii.n dete,
hamaarii chiiz hamii.n se chhupaa_ii jaatii hai,
’Shakeel’ duurii-e-manzil se naa-ummiid na ho,
manzil ab aa hii jaatii hai ab aa hii jaatii hai.
|
|