donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeel Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zauq-e-sitam junuuN kee hadoN se guzar gayaa, *
Zauq-e-sitam junuuN kee hadoN se guzar gayaa,
kam-zarf zindaa rah gaye, insaan mar gayaa,
Gham Khaanaa-e-jahaaN meN kise jurrat-e-qayaam,
meraa hi hausla thaa, do din TheHar gayaa,
hai shiddat-e-Khuloos ek zurm-e-aashiquii,
parwaana jal ke shamma ko badnaam kar gayaa,
baiThe haiN aaj aaiinaa-e-?? le ke wo,
ab jaaniye ke nazm-e-do aalam saNwar gayaa,
lillah ! aap mujhse muHabbat na keejiye,
do roz hi meN aapkaa chehraa utar gayaa,
pehle tau zindagii kee tamanna thii ishq meiN,
ab dhuuNdhtaa huN maiN, meraa qaatil kidhar gayaa,
rah kar tilism-e-Khaana-e-hastii meiN ai Shakeel,
?? tau maiN Khud apne hi saaye se Darr gayaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 360