donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeel Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Merii zindagii hai zaalim, tere Gham se aashkaaraa *
Merii zindagii hai zaalim, tere Gham se aashkaaraa 
teraa Gham hai dar-haqiiqat mujhe zindagii se pyaaraa

vo agar buraa na maane to jahaan-e-rang-o-buu men 
main sukuun-e-dil kii Khaatir koii Dhuundh luun sahaaraa

ye fulak fulak havaayen ye jhukii jhukii ghataayen 
vo nazar bhii kyaa nazar hai jo samajh na le ishaaraabr>

mujhe aa gayaa yaqiin saa yahii hai merii manzil 
sar-e-rah jab kisii ne mujhe daffa'atan pukaaraa

main bataauun farq naasih, jo hai mujh men aur tujh men
merii zindagii talaatum, terii zindagii kinaaraa

mujhe guftaguu se baDakar Gham-e-izn-e-guftaguu hai
wahii baat puuchhte hain jo na kah sakuun dobaaraa

koii aye 'Shakeel' dekhe, ye junuun nahiin to kyaa hai 
ke usii ke ho gaye ham jo na ho sakaa hamaaraa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 375