donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeel Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zindagii kaa dard lekar inqalaab aayaa to kyaa *
Zindagii kaa dard lekar inqalaab aayaa to kyaa
ek joshiidaa pe Ghurbat men shabaab aayaa to kyaa

ab to aankhon par Gham-e-hastii ke parde pad gaye
ab koii husn-e-mujassim benaqaab aayaa to kyaa

Khud chale aate to shaayad baat ban jaatii koii
baad tark-e-aashiqii Khat kaa jawaab aayaa to kyaa

muddaton bichhade rahe phir bhii gale to mil liye
ham ko sharm aayii to kyaa un ko hijaab aayaa to kyaa

ek tajallii se munawwar kiijiye qatl-e-hayaat
har tajallii par dil-e-KhaanaaKharaab aayaa to kyaa

matalaa-e-hastii kii saazish dekhate ham bhii 'shakiil'
ham ko jab niind aa gayii phir maahataab aayaa to kyaa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 341