donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shama Chowdhry
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ZAMAANA MAHWE HAIRAT HAI KE GHAM MEI'N MUSKURAATI HOO'N *
ZAMAANA MAHWE HAIRAT HAI KE GHAM MEI'N MUSKURAATI HOO'N,
BUJHAATA HAI MUJHE KOI MAGAR MAI'N JAGMAGAATI HOO'N,
TUMHAARE WALWALO'N MEI'N IK TAMOJ BHI SAKOO'N BHI,
MAGAR MAI'N IZTERAABE ISHQ BHI TUMSE CHHUPAATI HOO'N,
AJAB HALCHAL MACHA DETI HOO'N MAI'N KHAAMOSH TAARO'N MEI'N,
RUBAABE ZINDAGI PE JAB KOI DHUN GUNGUNAATI HOO'N,
TARASTE HAI'N QADAM BOSI KO TERI RAAH TAKTE HAI'N,
MAI'N IN PHOOLO'N KO AANGAN MEI'N TERI KHAATIR BICHHATI HOO'N,
NA JALTA HUSN KA SHOLA NA TOO US PE FEDA HOTA,
TERI DEEWAANGI KI DAASTA'N SAB KO SUNAATI HOO'N.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372