donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Anjum Warsi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phool, jugnu, chand,badal, raat,tare ,kahkasha’n *
Ghazal numa

Phool, jugnu, chand,badal, raat,tare ,kahkasha’n  
Tujh pe waro’n meharba’n 
Pahle apne aap pe qaboo to rakh khud ko sanmbhal 
Phir sunao’n dasta’n 
Daurh me’n faishan kee ,aage, kitne aage hai’n janab 
Aaj ke piro jawa’n 
Mujh se kar legaa taalluq munqta to es tarah 
Yeh naa thaa wahmo guma’n 
Ai ghazal aa ma’ng me’n bhardoo’n teree ,tere liye 
Muntazir hai kahkasha’n 
Ab kahaa’n hai’n achhee ghazlo’n achhe shero’n ke shameem 
Is jha’n me’n qadardaa’n 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 446