donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shamim Tariq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tanqid hi kori hai ke takhliq ajab hai *
Tanqid hi kori hai ke takhliq ajab hai 
Ham asar adab jo bhi hai tashrih talab hai 
Lafzon ka taqddus hai na rishton ka adab hai 
Shayad ke nayee nasal hi be namo nasab hai
Kanton me gulabon ki tarah waqt jo guzra 
Chehre ki kharashon me bhi uslobe tarab hai 
Miras me kam zarf ko hath aaya jo kharqa 
Kambakht samjhta hai ke woh aali nasab hai
Kiya junbish lab par bhi nahi rahgya qabu 
Keyon jahde musalsal me bhi wo mahre baab hai 
Malhuz rakho farqe maratib miyan "Tariq "
Ke farq maratib hi saadat ka sabab hai


Shamim Tariq 
Flat No27, Murzaban Mansion 
Byculla , Fruit market 
Mumbai-400027
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 677