donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Adeel
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sahra ka qerz yon bhi ada ker ke so gaya *
Sahra ka qerz yon bhi ada ker ke so gaya,
Derwaish barishon ki dua ker ke so gaya,

Beemar man rat dua mang mein guzar di,
Main tha ki thori dair hawa ker ke so gaya,

Sahir ne pahle cheekh fiza main buland ki,
Phir hath paon apne juda ker ke so gaya,

Main ker raha tha tazkirah jungal ki aag ka,
Kiyon gher ka woh chiragh bujha ker ke so gaya,

Sahra pe usne jab suniein kutiya pe dastakein,
Aandhi ko nzar apni rida ker ke so gaya,

Hum jagte hi rah gai ashkon ke jashan mein,
Who eik adhora qissah suna ker ke so gaya.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 386