donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* tamashayi na mil paaye...shariq kaifi *
tawajja?
wo yahan kisko mili hai
khuda ne kya kasar chodi thi kooyi
tawaaja khenchne ki
magar kya haath aaya
tamasha gah tak laaye gaye the muft me ham
ticket bhi waapsi ka jaib me usne hamari rakh diya tha
ki ham befikr hokar khel ka uske maza lein
faqat tareef karne ke awaz
taali bajane ke awaz jannat
bada in,aam tha
tamashe roshniyon ke bhi sab dilchasp the
magar phir bhi hamein aaisa nahi lagta
tamasha dhyaan se dekha kisi ne
wo jis ek wah ki khatir
ye saara intizaam usne kiya tha
dilon se wo kabhi nikli kisi ke
agar ye sab khuda ke saath ho sakta hai to ham kya
hamare chote mote khel kya
baazigari kya
sabab banta nahi shikwe ka kooyi
bila matlab tamasha dekhne walon se apne ham khafa hain
khuda ko jab yahan
achche tamashaayi na mil paaye
to ham kya hain
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 328