donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* mere hisse ki gaali...a nazm *
haan wo gaali bhi
mere hisse ki
meri hi tarah ghar se nikalti hai
purani cycle par baithkar
use bhi ye nahi maloom hota
ki wo kis muh pe thooki jayegi aaj
idhar mai bhi naha dhokar
nikal aata hun baahar
dhoondne wo mod wo mehfil
jahan takraaonga usse
ye jaise meri zimmadariyon me hai
ki wo halaat paida kar sakun
jis me
kisi gaali se mere kaan tak ka raasta aasaan ho jaye
aur ye sab
is tarah hota hai mere saath
ki sochun
to aql hairaan ho jaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 309