donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chor koyi aaisa hota hai *
Chor koyi aaisa hota hai
itna phuhadpan to bas ek shayar par achcha lagta hai
wo bhi mujh jaise shayar par
pehli aahat par hi maine samajh liya tha
achcha chor nahi hai jo aangan me mere ghoom raha hai
achcha chor to mai hun shayad
neend ka jo behroop bhare
uske phuhadpan
befikri
kamnazri ka lutf utha raha hun
mai jo use kahin ziyada chaukanna hun
dil hi dil me ye mantaq bhi laga raha hun
aankhon ki harkaat meri behtar hain isse
aahat ab tak koyi nahi ki hai maine apni jaanib se
neend jo usko sofe par dhaye deti hai
meelon uska pata nahi meri aankhon me
mai to ab ye soch raha hun ye mai hun kya
jo is chor ke bhes me ghar me ghoom raha hun
itne bhuhadpan se koyi kaam to mai hi kar sakta hun
haan ye mai hun
sachmuch mai hun
har shayar ek chor hai shayad
aaisa chor jo apne upar
chor nazar hi rakh sakta hai
shab bhar wo kya karta phirta hai iski
bas sirf khabar hi rakh sakta hai......shariq kaifi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389