donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zara sa gham nahi chehre pe inke *
Zara sa gham nahi chehre pe inke
mian sar par koi rumaal hi rakh lo
inhein to mout aana hi nahi hai
wohi taane
wohi fiqre
abhi tak mera peecha kar rahe hain har janaze mein
mai apni chaal ki raftaar thodi aor kam karke
nikal aata hun baahar bheed se
aur ruk ke ek dookan par cigarette jalata hun
janaza door hota jaa raha hai
ye sab kya hai?
adakaari nahi aati mujhe to kya karun mai
aur sachchi baat keh dun to mujhe paagal samajh legi ye duniya
haan ye sach hai
mujhe ratti barabar gham nahi hota kisi ki mout ka
aur ye bhi sun lo
meri jis muskurahat par yahan naraaz hain sab
sabab uska jalan hai
jo mai mehsoos karta hun kisi bhi marne waale se
kudhan hoti hai mujhko sochkar
ki mai jis imtiha ke khouff se
behaal aur bechain phirta hun
wo ye sahab jo kandhon par hain in ka ho chuka
aur mera baaqi hai.......shariq kaifi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 408