* mazhaka khez ye kirdaar hua jata hai *
mazhaka khez ye kirdaar hua jata hai
wo jo aashiq tha adakaar hua jaata hai
khel hai uske liye tarke taalluq ka khyaal
aur kooi soch ke beemar hua jaata hai
ham to lehron se faqat khelne aaye the yahan
aur samandar hai ki bedaar hua jaata hai
guftgu karke paresha hun ki lehje me tere
wo khulapan hai ki deewar hua jaata hai
farq itna to pada hai ki mulaqaat ke din
ab zara dair se tayyaar hua jaata hai
dekhiye kis nayi aafat ki alamat hai ye
har kisi se jo hamein pyaar hua jaata hai
****** |