donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BEEMARI KA SHIJRA *
Arey ye kuch nahi bas wehm hai mera
ye sab kuch wehm hai 
lekin
mere is hath ko kya ho gaya hai
jo dekho phir wahin pahuncha
wahin gardan ke peeche
tatoolo to jahan lagta hai kooi goomda saa
mai aaiena uthakar dekhne lagta hun phir us goomde ko
magar ye bhi to mumkin hai
ye bachpan se yahin ho
jise pehle kabhi maine nahi dekha
aur achchi baat to ye hai
dabane se zara sa dard bhi isme nahi hota
wo pagal doctor shayad bahut fursat se hoga
jo hanskar poochta tha mujhse beemari ka shijra
mere dada ka pardada ka aur usse se peeche ka
bhala dada ki beemari se kya matlab?
mere is goomde ka........shariq kaifi
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 318